jañgal  se  aage  nikal  gayā
vo  dariyā  kitnā  badal  gayā
kal  mere  lahū  kī  rim-jhim  meñ
sūraj  kā  pahiyā  phisal  gayā
chehroñ  kī  nadī  bahtī  hai  magar
vo  lahar  ga.ī  vo  kañval  gayā
ik  peḌ  havā  ke  saath  chalā
phir  girte  girte  sambhal  gayā
ik  āñgan  pahle  chhīñTe  meñ
bādal  se  ūñchā  uchhal  gayā
ik  andhā  jhoñkā  aayā  thā
ik  iid  kā  joḌā  masal  gayā
ik  sāñvlī  chhat  ke  girne  se
ik  pāgal  saaya  kuchal  gayā
ham  duur  talak  jā  sakte  the
tū  baiThe  baiThe  bahal  gayā
jhūTī  ho  ki  sachchī  aag  tirī
merā  patthar  to  pighal  gayā
miTTī  ke  khilaune  lene  ko
maiñ  bālak  ban  ke  machal  gayā
ghar  meñ  to  zarā  jhāñkā  bhī  nahīñ
aur  naam  kī  taḳhtī  badal  gayā
sab  ke  liye  ek  hī  rasta  hai
heidinger  se  aage  russel  gayā