Rais Farogh

aankhen jinko dekh na paen sapnon mein bikhra dena

Rais Farogh

Moradabad, Uttar pradesh, India

1926-1982
āñkheñ jin ko dekh na paa.eñ sapnoñ meñ bikhrā denā
jitne bhī haiñ ruup tumhāre jīte-jī dikhlā denā
raat aur din ke biich kahīñ par jaage so.e rastoñ meñ
maiñ tum se ik baat kahūñgā tum bhī kuchh farmā denā
ab kī rut meñ jab dhartī ko barkhā kī mahkār mile
mere badan kī miTTī ko bhī rañgoñ meñ nahlā denā
dil dariyā hai dil sāgar hai is dariyā is sāgar kī
ek hī lahr kā āñchal thāme saarī umar bitā denā
ham bhī lai ko tez kareñge būñdoñ kī bauchhār ke saath
pahlā sāvan jhūlne vaalo tum bhī peñg baḌhā denā
fasl tumhārī achchhī hogī jaao hamāre kahne se
apne gaañv kī har gorī ko na.ī chunariyā lā denā
ye mire paude ye mire panchhī ye mire pyāre pyāre log
mere naam jo bādal aa.e bastī meñ barsā denā
hijr kī aag meñ ai rī havāo do jalte ghar agar kahīñ
tanhā tanhā jalte hoñ to aag meñ aag milā denā
aaj dhanak meñ rañg na hoñge vaise jī bahlāne ko
shaam hue par niile piile kuchh ballōn uḌā denā
aaj kī raat koī bairāgan kisī se aañsū badlegī
bahte dariyā uḌte bādal jahāñ bhī hoñ Thahrā denā
jaate saal kī āḳhirī shāmeñ bālak chorī kartī haiñ
āñgan āñgan aag jalānā galī galī pahrā denā
os meñ bhīge shahr se bāhar aate din se milnā hai
sub.h-talak sansār rahe to ham ko jald jagā denā
niim kī chhāñv meñ baiThne vaale sabhī ke sevak hote haiñ
koī naag bhī aa nikle to us ko duudh pilā denā
tere karam se yā-rab sab ko apnī apnī murād mile
jis ne hamārā dil toḌā hai us ko bhī beTā denā
Top Urdushayar.com