apne  hī  shab  o  roz  meñ  ābād  rahā  kar
ham  log  bure  log  haiñ  ham  se  na  milā  kar
shāyad  kisī  āvāz  kī  ḳhushbū  nazar  aa.e
āñkheñ  haiñ  to  ḳhvāboñ  kī  tamannā  bhī  kiyā  kar
bātoñ  ke  liye  shikva-e-mausam  hī  bahut  hai
kuchh  aur  kisī  se  na  kahā  kar  na  sunā  kar
sone  de  unheñ  rañg  jo  so.e  haiñ  badan  meñ
āvāra  havāoñ  ko  na  mahsūs  kiyā  kar
tū  sub.h-e-bahārāñ  kā  hasīñ  ḳhvāb  hai  phir  bhī
āhista  zarā  os  kī  būñdoñ  pe  chalā  kar