galiyoñ  meñ  āzār  bahut  haiñ  ghar  meñ  jī  ghabrātā  hai
hañgāme  se  sannāTe  tak  apnā  haal  tamāshā  hai
bojhal  āñkheñ  kab  tak  āḳhir  niiñd  ke  vaar  bachā.eñgī
phir  vahī  sab  kuchh  dekhnā  hogā  sub.h  se  jo  kuchh  dekhā  hai
dhuup  musāfir  chhāñv  musāfir  aa.e  koī  koī  jaa.e
ghar  meñ  baiThā  soch  rahā  huuñ  āñgan  hai  yā  rasta  hai
aadhī  umr  ke  pas-manzar  meñ  shāna-ba-shāna  gām-ba-gām
tū  hai  ki  terī  parchhā.īñ  hai  maiñ  huuñ  ki  merā  saaya  hai
ham  sāhil  kī  sard  havā  meñ  ḳhvāboñ  se  uljhe  haiñ  'faroġh'
aur  hamāre  naam  kā  dariyā  sahrā  sahrā  bahtā  hai