hama-vaqt  jo  mire  saath  haiñ  ye  ubharte  Dūbte  saa.e  se
kisī  raushnī  ke  sarāb  haiñ  ki  mile  har  apne  parā.e  se
ḳham-e-jāda  se  maiñ  piyāda-pā  kabhī  dekh  letā  huuñ  ḳhvāb-sā
kahīñ  duur  jaise  dhuāñ  uThā  kisī  bhūlī-bisrī  sarā.e  se
uThī  mauj-e-dard  to  yak-ba-yak  mire  ās-pās  bikhar  ga.e
mah-e-nīm-shab  ke  idhar  udhar  jo  laraz  rahe  the  kinā.e  se
milā  mujh  ko  raah  meñ  ik  nagar  jahāñ  koī  shaḳhs  na  thā  magar
vo  zamīñ  shagufta  shagufta  sī  vo  makāñ  nahā.e  nahā.e  se
mire  kār-zār-e-hayāt  meñ  rahe  umr-bhar  ye  muqāble
kabhī  saaya  dab  gayā  dhuup  se  kabhī  dhuup  dab  ga.ī  saa.e  se