havā  ne  bādal  se  kyā  kahā  hai
ki  shahr  jañgal  banā  huā  hai
jahāñ  mirī  kashtiyāñ  nahīñ  thiiñ
vahāñ  bhī  sailāb  aa  gayā  hai
umiid  aur  ḳhauf  nāchte  haiñ
vo  nāch-ghar  hai  makān  kyā  hai
sab  us  kī  bāteñ  ghisī-piTī  haiñ
magar  vo  paikar  nayā  nayā  hai
vo  jā  chukā  hai  par  us  kā  chehra
usī  tarah  mez  par  sajā  hai
sajīlī  almāriyoñ  ke  pīchhe
nokīle  shīshoñ  kā  silsila  hai
jo  saa.e  kī  samt  jā  rahe  haiñ
vo  maiñ  huuñ  aur  ek  azhdahā  hai
kalaf  ke  collar  pahanñe  vaalā
ik  aadmī  qatl  ho  rahā  hai
mirā  badan  jis  ko  chāhtā  thā
kisī  ne  vo  zahr  pī  liyā  hai