phuul  zamīn  par  girā  phir  mujhe  niiñd  aa  ga.ī
duur  kisī  ne  kuchh  kahā  phir  mujhe  niiñd  aa  ga.ī
abr  kī  oT  meñ  kahīñ  narm  sī  dastakeñ  huiiñ
saath  hī  koī  dar  khulā  phir  mujhe  niiñd  aa  ga.ī
raat  bahut  havā  chalī  aur  shajar  bahut  Dare
maiñ  bhī  zarā  zarā  Darā  phir  mujhe  niiñd  aa  ga.ī
aur  hī  ek  samt  se  aur  hī  ik  maqām  par
gard  ne  shahr  ko  chhuā  phir  mujhe  niiñd  aa  ga.ī
apne  hī  ek  ruup  se  taaza  suḳhan  ke  darmiyāñ
maiñ  kisī  baat  par  hañsā  phir  mujhe  niiñd  aa  ga.ī
tū  kahīñ  ās-pās  thā  vo  tirā  iltibās  thā
maiñ  use  dekhtā  rahā  phir  mujhe  niiñd  aa  ga.ī
ek  ajab  firāq  se  ek  ajab  visāl  tak
apne  ḳhayāl  meñ  chalā  phir  mujhe  niiñd  aa  ga.ī