zarā  mushkil  se  samjheñge  hamāre  tarjumāñ  ham  ko
abhī  dohrā  rahī  hai  ḳhud  hamārī  dāstāñ  ham  ko
kisī  ko  kyā  ḳhabar  patthar  ke  pairoñ  par  khaḌe  haiñ  ham
sadāoñ  par  sadā.eñ  de  rahe  haiñ  kārvāñ  ham  ko
ham  aise  sūrmā  haiñ  laḌ  ke  jab  hālāt  se  palTe
to  baḌh  ke  zindagī  ne  pesh  kiiñ  baisākhiyāñ  ham  ko
sambhālā  hosh  jab  ham  ne  to  kuchh  muḳhlis  azīzoñ  ne
ka.ī  chehre  diye  aur  ek  patthar  kī  zabāñ  ham  ko
uThā  hai  shor  ḳhud  apne  hī  andar  se  magar  akasr
dahal  ke  band  kar  lenā  paḌī  haiñ  khiḌkiyāñ  ham  ko
ham  apne  jism  meñ  bikhre  hue  haiñ  ret  kī  sūrat
sameTeñgī  kahāñ  tak  zindagī  kī  muTThiyāñ  ham  ko
bichhaḌ  ke  bhiiḌ  meñ  ḳhud  se  havāsoñ  kā  vo  aalam  thā
ki  muñh  khole  hue  taktī  rahīñ  parchhā.iyāñ  ham  ko