TaToltā  huā  kuchh  jism  o  jaan  tak  pahuñchā
vo  aadmī  jo  mirī  dāstān  tak  pahuñchā
kisī  janam  meñ  jo  merā  nishāñ  milā  thā  use
patā  nahīñ  ki  vo  kab  us  nishān  tak  pahuñchā
maiñ  sirf  ek  ḳhalā  thii,  jahāñ  fazā  na  havā
jab  aarzū  kā  parinda  uḌaan  tak  pahuñchā
na  jaane  raah  meñ  kyā  us  pe  hādsa  guzrā
ki  umr  bhar  na  nazar  se  zabān  tak  pahuñchā
ye  kam-nasīb  bhaTaktā  huā  añdheroñ  meñ
kabhī  yaqīn  kabhī  phir  gumān  tak  pahuñchā
vo  jis  meñ  hadd-e-nazar  tak  charāġh  jalte  the
vo  rāsta  hī  faqat  darmiyān  tak  pahuñchā