lahū  se  uTh  ke  ghaTāoñ  ke  dil  baraste  haiñ
badan  chhatoñ  kī  tarah  dhuup  meñ  jhulaste  haiñ
ham  aise  peḌ  haiñ  jo  chhāñv  bāñdh  kar  rakh  deñ
shadīd  dhuup  meñ  ḳhud  saa.e  ko  taraste  haiñ
har  ek  jism  ke  chāroñ  taraf  samundar  hai
yahāñ  ajiib  jazīroñ  meñ  log  baste  haiñ
sabhī  ko  dhun  hai  ki  shīshe  ke  bām-o-dar  hoñ  magar
ye  dekhte  nahīñ  patthar  abhī  baraste  haiñ
bahā  ke  le  gayā  sailāb  rāste  jin  ke
vo  shahr  apne  ḳhayāloñ  meñ  ab  bhī  baste  haiñ
ma.aal  kyā  hai  ujāloñ  ke  un  dafīnoñ  kā
jinheñ  chhueñ  to  añdheroñ  ke  naag  Daste  haiñ
ajiib  log  haiñ  kāġhaz  kī  kashtiyāñ  gaḌ.h  ke
samundaroñ  kī  balā-ḳheziyoñ  pe  hañste  haiñ