aap  bhī  ret  kā  malbūs  pahan  kar  dekheñ
ham  vo  pyāse  haiñ  na  sahrā  na  samundar  dekheñ
ik  zarā  Dher  meñ  kuuḌe  ke  bhī  chhup  kar  dekheñ
log  hiirā  hameñ  samjhe  haiñ  ki  patthar  dekheñ
ham  meñ  jo  shaḳhs  hai  us  se  nahīñ  bantī  apnī
ab  to  rahne  ke  liye  aur  koī  ghar  dekheñ
shor  be-samt  sadāoñ  kā  kuchh  aisā  hai  ki  ham
apne  andar  kabhī  jhāñkeñ  kabhī  bāhar  dekheñ