zindagī  ke  saare  mausam  aa  ke  ruḳhsat  ho  ga.e
merī  āñkhoñ  meñ  kahīñ  barsāt  baaqī  rah  ga.ī
aas  kā  sūraj  to  saarī  zindagī  niklā  magar
din  ke  andar  jaane  kaise  raat  baaqī  rah  ga.ī
ā.īna-ḳhāna  banā  ke  jis  ne  toḌā  thā  mujhe
merī  kirchoñ  meñ  usī  kī  zaat  baaqī  rah  ga.ī
merā  ik  ik  lafz  mujh  se  chhīn  kar  vo  le  gayā
jis  ke  kāran  aaj  tak  vo  baat  baaqī  rah  ga.ī