ye  hausla  bhī  kisī  roz  kar  ke  dekhūñgī
agar  maiñ  zaḳhm  huuñ  us  kā  to  bhar  ke  dekhūñgī
kisī  taraf  koī  ziina  nazar  nahīñ  aatā
maiñ  us  ke  zehn  meñ  kyūñ-kar  utar  ke  dekhūñgī
maiñ  raushnī  huuñ  to  merī  pahuñch  kahāñ  tak  hai
kabhī  charāġh  ke  nīche  bikhar  ke  dekhūñgī
sunā  dorāhe  pe  ummīd  ke  sarā.e  hai  ek
maiñ  apnī  raah  usī  meñ  Thahar  ke  dekhūñgī