na  yaad  aayā  na  bhūlā  vo  sāneha  mujh  ko
banā  gayā  jo  ik  aisā  mujassama  mujh  ko
ki  rāste  meñ  khaḌā  but  samajh  ke  chhoḌ  gayā
tamām  umr  kī  yādoñ  kā  qāfila  mujh  ko
maiñ  so  rahī  thī  usī  dāstāñ  meñ  sadiyoñ  se
sulā  gayā  thā  jahāñ  merā  hāfiza  mujh  ko
kisī  qadīm  kahānī  kā  ik  charāġh  huuñ  maiñ
bujhā  ke  chhoḌ  ga.ī  taaq  par  havā  mujh  ko
phir  uTh  ke  niiñd  meñ  jaatī  thī  us  taraf  har  shab
pukārtā  thā  jidhar  se  mirā  patā  mujh  ko
magar  ye  hosh  na  thā  le  ke  jā  rahā  hai  kahāñ
bikhartī  TūTtī  yādoñ  kā  silsila  mujh  ko