nikalnā  ḳhud  se  mumkin  hai  na  mumkin  vāpsī  merī
mujhe  ghere  hue  hai  har  taraf  se  be-ruḳhī  merī
bujhā  ke  rakh  gayā  hai  kaun  mujh  ko  tāq-e-nisyāñ  par
mujhe  andar  se  phūñke  de  rahī  hai  raushnī  merī
maiñ  ḳhvāboñ  ke  mahal  kī  chhat  se  gir  ke  ḳhud-kushī  kar  luuñ
haqīqat  se  agar  mumkin  nahīñ  hai  dostī  merī
maiñ  apne  jism  ke  murda  ajā.ib-ghar  kī  zīnat  huuñ
mujhe  dīmak  kī  sūrat  chāTtī  hai  zindagī  merī