ham  koī  nādān  nahīñ  ki  bachchoñ  kī  sī  baat  kareñ
jiinā  koī  khel  nahīñ  hai  baiTho  tuk  kī  baat  kareñ
shiv  to  nahīñ  ham  phir  bhī  ham  ne  duniyā  bhar  ke  zahr  piye
itnī  kaḌvāhaT  hai  muñh  meñ  kaise  mīThī  baat  kareñ
ham  ne  sab  ko  muflis  pā  ke  toḌ  diyā  dil  kā  kashkol
ham  ko  koī  kyā  de  degā  kyuuñ  muñh-dekhī  baat  kareñ
ham  ne  kab  ye  gur  sīkhā  ham  Thahre  sīdhe-sāde  log
jis  kī  jaisī  fitrat  dekheñ  us  se  vaisī  baat  kareñ