alāva  ik  chubhan  ke  kyā  hai  ḳhud  se  rābta  merā
bikhar  jaatā  hai  mujh  meñ  TuuT  ke  har  ā.īna  merā
ulajh  ke  mujh  meñ  apne-āp  ko  suljhā  rahā  hai  jo
na  jaane  ḳhatm  kar  baiThe  kahāñ  par  silsila  merā
mujhe  chakhte  hī  kho  baiThā  vo  jannat  apne  ḳhvāboñ  kī
bahut  miltā  huā  thā  zindagī  se  zā.iqa  merā
maiñ  kal  aur  aaj  meñ  haa.el  koī  nādīda  vaqfa  huuñ
mire  ḳhvāboñ  se  naapā  jā  rahā  hai  fāsla  merā
vo  kaisā  shahr  thā  mānūs  bhī  thā  ajnabī  bhī  thā
ki  jis  kī  ik  galī  meñ  kho  gayā  mujh  se  patā  merā
palaT  aatā  hai  har  din  ghar  kī  jānib  shaam  Dhalte  hī
kisī  be-nām  bastī  se  guzar  ke  rāstā  merā
ye  maiñ  huuñ  yā  mirā  saaya  mirā  saaya  hai  yā  maiñ  huuñ
ajab  sī  dhund  meñ  lipTā  huā  hai  hāfiza  merā
hañsī  aa.ī  thī  apnī  bebasī  par  ek  din  mujh  ko
abhī  tak  gūñjtā  hai  mere  andar  qahqaha  merā