thakan  se  chuur  huuñ  lekin  ravāñ-davāñ  huuñ  maiñ
na.ī  sahar  ke  charāġhoñ  kā  kārvāñ  huuñ  maiñ
havā.eñ  mere  varaq  lauT  lauT  detī  haiñ
na  jaane  kitne  zamānoñ  kī  dāstāñ  huuñ  maiñ
har  ek  shahr-e-nigārāñ  samajh  rahā  hai  mujhe
zarā  qarīb  se  dekho  dhuāñ  dhuāñ  huuñ  maiñ
kisī  se  bhiiḌ  meñ  chehra  badal  gayā  hai  mirā
to  saare  ā.ina-ḳhānoñ  se  bad-gumāñ  huuñ  maiñ
maiñ  apnī  guuñj  meñ  khoī  huuñ  ek  muddat  se
mujhe  ḳhabar  nahīñ  kuchh  kaun  huuñ  kahāñ  huuñ  maiñ
ḳhud  apnī  diid  se  mahrūm  hai  nazar  merī
azal  se  sūrat-e-nazzāra  darmiyāñ  huuñ  maiñ
mirā  vajūd-o-adam  raaz  hai  hamesha  se
vahāñ  vahāñ  bhī  nahīñ  huuñ  jahāñ  jahāñ  huuñ  maiñ