haTā  ke  mez  se  ik  roz  ā.īna  maiñ  ne
phir  apne-āp  se  rakkhā  na  vāsta  maiñ  ne
jab  apne-āp  se  pahchān  apnī  kho  ke  milī
to  ḳhud  hī  kaaT  diyā  apnā  rāsta  maiñ  ne
maiñ  kam-sinī  meñ  bhī  guḌiyā  kabhī  nahīñ  khelī
paloñ  meñ  tai  kiyā  barsoñ  kā  fāsla  maiñ  ne
charāġh  huuñ  mujhe  jab  dhuup  raas  aa  na  sakī
to  ḳhud  sikoḌ  liyā  apnā  dā.era  maiñ  ne
maiñ  apne  aap  meñ  huuñ  yā  nahīñ,  kabhī  apnā
kisī  ko  Thiik  batāyā  nahīñ  pata  maiñ  ne
ajiib  kyā  jo  bikherā  nahīñ  sameT  ke  phir
tamām  umr  umīdoñ  kā  silsila  maiñ  ne