bharā  ghar  hai  koī  sahrā  nahīñ  hai
yahāñ  lekin  koī  apnā  nahīñ  hai
ġhazab  hai  ho  gayā  bargad  bhī  īñdhan
buzurgoñ  kā  kahīñ  saaya  nahīñ  hai
musībat  meñ  bhī  dāmān-e-sharāfat
hamāre  haath  se  chhūTā  nahīñ  hai
tamāshā.ī  huuñ  yuuñ  apne  ġhamoñ  kā
ki  jaise  dard-o-ġham  dekhā  nahīñ  hai
mohabbat  kī  kiran  phūTī  hai  dil  se
kitāboñ  se  use  sīkhā  nahīñ  hai
yahī  ehsās  dil  ko  Das  rahā  hai
tū  merā  ho  ke  bhī  merā  nahīñ  hai
'shahāb'  ash.ār  tere  paḌh  ke  dekhe
haqīqat  hai  koī  qissa  nahīñ  hai