mujh  ko  shām-e-hijr  kī  ye  jalva-ārā.ī  bahut
mahkī  mahkī  yaad  terī  aur  tanhā.ī  bahut
umr  bhar  Dartā  rahā  kam-zarfī-e-ehsās  se
un  ke  pahlū  meñ  bhī  merī  ruuh  ghabrā.ī  bahut
Duub  kar  un  jhiil  sī  āñkhoñ  meñ  jab  ġhazleñ  kahīñ
mere  in  sheroñ  meñ  tab  aa.ī  hai  gahrā.ī  bahut
ham  hī  kyuuñ  terī  mohabbat  meñ  tamāshā  ban  ga.e
is  hayāt-e-rañg-o-bū  meñ  the  tamāshā.ī  bahut
rafta  rafta  us  galī  meñ  be-jhijak  jaane  lagā
pahle  pahle  to  mujhe  thā  ḳhauf-e-rusvā.ī  bahut
vo  khanakte  gungunāte  jhūmte  gaate  badan
ahd-e-pīrī  meñ  javānī  ham  ko  yaad  aa.ī  bahut
dahkī  dahkī  aag  sī  āñchal  meñ  thī  shāyad  'shahāb'
paas  se  vo  shoḳh  jab  guzrā  to  aañch  aa.ī  bahut