zarā  nigāh  uThāo  ki  ġham  kī  raat  kaTe
nazar  nazar  se  milāo  ki  ġham  kī  raat  kaTe
ab  aa  ga.e  ho  to  mere  qarīb  aa  baiTho
duī  ke  naqsh  miTāo  ki  ġham  kī  raat  kaTe
shab-e-firāq  hai  sham-e-umīd  le  aao
koī  charāġh  jalāo  ki  ġham  kī  raat  kaTe
kahāñ  haiñ  sāqī-o-mutrib  kahāñ  hai  pīr-e-haram
kahāñ  haiñ  sab  ye  bulāo  ki  ġham  kī  raat  kaTe
kahāñ  ho  mai-kade  vaalo  zarā  idhar  aao
hameñ  bhī  aaj  pilāo  ki  ġham  kī  raat  kaTe
nahīñ  kuchh  aur  jo  mumkin  to  yaar  'shola'  kī
koī  ġhazal  hī  sunāo  ki  ġham  kī  raat  kaTe