merī  manzil  kahāñ  hai  kyā  ma.alūm
intihā  ġham  hai  ibtidā  ma.alūm
tum  nahīñ  mere  ab  ye  raaz  khulā
maiñ  tumhārā  huuñ  ab  huā  ma.alūm
dil  kī  parvā  kare  koī  kab  tak
chāhtā  kyā  hai  ye  ḳhudā  ma.alūm
duur  se  gul  ko  dekhnā  kyā  hai
yuuñ  to  hotā  hai  ḳhushnumā  ma.alūm
paas  aa.e  to  asl  husn  khule
duur  kī  chiiz  rāz-e-nā-ma.alūm
tum  ko  chāhā  baḌā  qusūr  kiyā
sahv  zāhir  hai  aur  ḳhatā  ma.alūm
baat  bantī  nazar  nahīñ  aatī
un  ke  tevar  se  ho  gayā  ma.alūm
vaz.a-dārī  se  chup  rahūñ  varna
hai  mujhe  raaz  aap  kā  ma.alūm
kaun  hai  jis  ko  ḳhū-e-e-maulā  kā
rāz-e-sar-basta  ho  sakā  ma.alūm
is  qadar  jald  maut  aa.egī
haa.e  insāñ  ko  ye  na  thā  ma.alūm
maiñ  vafā  bhī  karūñ  gile  bhī  karūñ
mujh  ko  hotā  hai  ye  burā  ma.alūm
kyā  kaheñ  kis  liye  rahe  ma.atūb
ham  ko  ab  tak  nahīñ  ḳhatā  ma.alūm
chal  ke  'sho.ala'  se  pūchhiye  kyūñkar
jurm  sābit  huā  sazā  ma.alūm