apnoñ  ke  sitam  yaad  na  ġhairoñ  kī  jafā  yaad
vo  hañs  ke  zarā  bole  to  kuchh  bhī  na  rahā  yaad
kyā  lutf  uThā.egā  jahān-e-guzarāñ  kā
vo  shaḳhs  ki  jis  shaḳhs  ko  rahtī  ho  qazā  yaad
ham  kaag  uḌā  dete  haiñ  botal  kā  usī  vaqt
garmī  meñ  bhī  aa  jaatī  hai  jab  kaalī  ghaTā  yaad
mahshar  meñ  bhī  ham  terī  shikāyat  na  kareñge
aa  jā.egī  us  din  bhī  hameñ  shart-e-vafā  yaad
pī  lī  to  ḳhudā  ek  tamāshā  nazar  aayā
aayā  bhī  to  aayā  hameñ  kis  vaqt  ḳhudā  yaad
allāh  tirā  shukr  ki  ummīd-e-karam  hai
allāh  tirā  shukr  ki  us  ne  bhī  kiyā  yaad
kal  tak  tire  baa.is  maiñ  use  bhūlā  huā  thā
kyuuñ  aane  lagā  phir  se  mujhe  aaj  ḳhudā  yaad