dil-e-be-mudda.ā  kā  mudda.ā  kyā
use  yaksāñ  ravā  kiyā  nāravā  kyā
jinheñ  har  saañs  bhī  ik  marhala  hai
unheñ  raas  aa.e  duniyā  kī  havā  kyā
koī  suntā  nahīñ  hai  muflisoñ  kī
ġharīboñ  kā  payambar  kyā  ḳhudā  kyā
nigāh-e-dost  meñ  jachtā  nahīñ  jab
to  phir  maiñ  kyā  mirā  zehn-e-rasā  kyā
baḌā  achchhā  kiyā  aaj  aa  ga.e  tum
chalo  chhoḌo  na  aa.e  kal  huā  kyā
jo  ḳhud  dast-e-talab  phailā  rahā  ho
sakhī  bhī  ho  to  us  kā  aasrā  kyā
agar  majbūr  hai  jiine  par  insāñ
to  phir  kaise  kaTe  ye  sochnā  kyā