dekh  jurm-o-sazā  kī  baat  na  kar
mai-kade  meñ  ḳhudā  kī  baat  na  kar
maiñ  to  be-mehriyoñ  kā  aadī  huuñ
mujh  se  mehr-o-vafā  kī  baat  na  kar
shauq-e-be-mudda.ā  kā  maarā  huuñ
shauq-e-be-mudda.ā  kī  baat  na  kar
vo  to  muddat  huī  ki  TuuT  gayā
mere  dast-e-duā  kī  baat  na  kar
jo  nahīñ  iḳhtiyār  meñ  mere
us  but  be-vafā  kī  baat  na  kar
ishq  kī  intihā  ko  dekh  zarā
ishq  kī  ibtidā  kī  baat  na  kar
kyā  milā  fikr  kī  rasā.ī  se
merī  fikr-e-rasā  kī  baat  na  kar
is  kī  taqdīr  meñ  ḳharābī  thī
is  dil-e-mubtalā  kī  baat  na  kar
jo  bhī  honā  thā  ho  gayā  'sho.ala'
karam-e-nāḳhudā  kī  baat  na  kar