ziist  be-va.āda-e-anvār-e-sahar  hai  ki  jo  thī
zulmat-e-baḳht  ba-har-rañg-o-nazar  hai  ki  jo  thī
ishq  barbād-kun-e-rāhat-e-dil  hai  ki  jo  thā
shoḳhī-e-dost  ba-andāz-e-digar  hai  ki  jo  thī
aaj  bhī  koī  nahīñ  pūchhtā  ahl-e-dil  ko
aaj  bhī  zillat-e-arbāb-e-nazar  hai  ki  jo  thī
ḳhud-parastī  kā  rivāj  aaj  bhī  hai  aam  ki  thā
rāstī  aaj  bhī  mohtāj-e-asar  hai  ki  jo  thī
aaj  bhī  jazba-e-iḳhlās  pareshāñ  hai  ki  thā
aaj  bhī  dīda-varī  ḳhāk-basar  hai  ki  jo  thī
aaj  bhī  ilm-o-hunar  kī  nahīñ  koī  vaq.at
ab  bhī  nā-qadrī-e-as.hāb-e-hunar  hai  ki  jo  thī
aaj  bhī  mehr-o-vafā  kī  nahīñ  qīmat  koī
aaj  bhī  manzilat-e-kīsa-e-zar  hai  ki  jo  thī
kāmrānī  pe  hai  nāzāñ  havas-e-hech  madār
āshiqī  aaj  bhī  bā-dīda-e-tar  hai  ki  jo  thī
rūh-e-iḳhlās  to  dar-band  hai  be-pursish-e-hāl
midhat-e-husn  sar-e-rāhguzar  hai  ki  jo  thī
sāf-goī  ko  samajhte  haiñ  yahāñ  aib  ab  bhī
zehniyat  aaj  bhī  ālūda-e-shar  hai  ki  jo  thī
asp-e-tāzī  ko  mayassar  nahīñ  chārā  'sho.ala'
aur  tan-zebī-o-ārā.ish-e-ḳhar  hai  ki  jo  thī