insāñ  ba-yak  nigāh  burā  bhī  bhalā  bhī  hai
ya.anī  vo  musht-e-ḳhāk  to  hai  kīmiyā  bhī  hai
ai  ġham-nasīb  kis  se  hai  mumkin  tirā  ilaaj
ai  bad-nasīb  tere  maraz  kī  davā  bhī  hai
kyuuñ  kar  kaheñ  ki  jis  ko  ḳhudā.ī  na  thī  qubūl
vo  be-niyāz  aap  ke  dar  kā  gadā  bhī  hai
tere  vajūd  se  bhalā  inkār  ho  kise
ai  tū  ki  zarre  zarre  meñ  jalva-numā  bhī  hai
banda-navāziyoñ  pe  na  itrā.iye  bahut
banda-navāz  aap  se  baḌh  kar  ḳhudā  bhī  hai
sho.ala  se  duur  rahiye  ki  shā.ir  sahī  magar
ziddī  hai  bevaqūf  hai  dil  kā  burā  bhī  hai