ġham  ko  vaj.h-e-hayāt  kahte  haiñ
aap  bhī  ḳhuub  baat  kahte  haiñ
aap  se  hai  vo  yā  hamīñ  se  hai
ham  jise  kā.enāt  kahte  haiñ
kor-zauqī  kī  intihā  ye  hai
log  din  ko  bhī  raat  kahte  haiñ
ye  ġhalat  kyā  hai  tajarbe  ko  agar
hāsil-e-hādsāt  kahte  haiñ
bach  nikalnā  fareb-e-hastī  se
bas  isī  ko  najāt  kahte  haiñ
jis  mohabbat  pe  hai  madār-e-hayāt
us  ko  bhī  be-sabāt  kahte  haiñ
vo  mire  sher  hī  to  haiñ  'sho.ala'
jin  ko  qand-o-nabāt  kahte  haiñ