zindagī  kyā  hai  ibtilā  ke  sivā
shikva-e-dard-e-lā-davā  ke  sivā
terī  duniyā  meñ  kyā  nahīñ  miltā
ik  dil-e-dard-āshnā  ke  sivā
chāra-e-dard-e-zindagī  kyā  hai
āh-e-jāñ-kāh-o-iltijā  ke  sivā
kuchh  nahīñ  iḳhtiyār  meñ  apne
bandagī  ke  sivā  duā  ke  sivā
maiñ  ne  har  baat  un  se  kah  Daalī
lekin  ik  harf-e-mudda.ā  ke  sivā
merī  imdād  sab  ne  farmā.ī
vā.iz-o-zāhid-o-ḳhudā  ke  sivā
kaun  samjhegā  in  haqā.eq  ko
'sho.ala'-e-riñd-e-pārsā  ke  sivā