nahīñ  kahte  kisī  se  hāl-e-dil  ḳhāmosh  rahte  haiñ
ki  apnī  dāstāñ  meñ  tere  afsāne  bhī  aate  haiñ
vo  jin  par  faḳhr  hai  farzāngī  ko  nukta-dānī  ko
tirī  mahfil  meñ  aise  chand  dīvāne  bhī  aate  haiñ
adab  kartā  huuñ  masjid  kā  vahāñ  har  roz  jaatā  huuñ
ki  us  kī  raah  meñ  do-chār  maiḳhāne  bhī  aate  haiñ
hamāre  mai-kade  meñ  mai  bhī  hai  īmāñ  kī  bāteñ  bhī
yahīñ  to  ek  sāhab  va.az  farmāne  bhī  aate  haiñ
na  ghabrā  chāhne  vāloñ  se  ye  to  ain-e-fitrat  hai
ki  sham.a  nūr-afshāñ  ho  to  parvāne  bhī  aate  haiñ