mirī  be-qarārī  mirī  āh-o-zārī  ye  vahshat  nahīñ  hai  to  phir  aur  kyā  hai
pareshāñ  to  rahnā  magar  kuchh  na  kahnā  mohabbat  nahīñ  hai  to  phir  aur  kyā  hai
ġham-e-zindagī  nāla-e-sub.h-gāhī  mire  shaiḳh  sāhab  kī  vaahī  tabāhī
agar  un  ke  hote  vajūd-e-ilāhī  haqīqat  nahīñ  hai  to  phir  aur  kyā  hai
tirī  ḳhud-pasandī  mirī  vaz.a-dārī  tirī  be-niyāzī  mirī  dost-dārī
junūn-e-muravvat  ba-har-rañg  taarī  musībat  nahīñ  hai  to  phir  aur  kyā  hai
ġharīboñ  ko  bad-hāl-o-majbūr  rakhnā  unheñ  fikrmand  aur  ranjūr  rakhnā
unheñ  apnā  kahnā  magar  duur  rakhnā  ye  hikmat  nahīñ  hai  to  phir  aur  kyā  hai
tirī  raah  meñ  har  qadam  jaan  denā  musībat  bhī  aa.e  to  sar  apne  lenā
mohabbat  kī  kashtī  ba-har-hāl  khenā  rifāqat  nahīñ  hai  to  phir  aur  kyā  hai