ek  rahzan  ko  amīr-e-kārvāñ  samjhā  thā  maiñ
apnī  bad-baḳhtī  ko  manzil  kā  nishāñ  samjhā  thā  maiñ
terī  ma.asūmī  ke  sadqe  merī  mahrūmī  kī  ḳhair
ai  ki  tujh  ko  sūrat-e-ārām-e-jāñ  samjhā  thā  maiñ
dushman-e-dil  dushman-e-dīñ  dhushman-e-hosh-o-havās
haa.e  kis  nā-mehrbāñ  ko  mehrbāñ  samjhā  thā  maiñ
dost  kā  dar  aa  gayā  to  ḳhud-baḳhud  jhukne  lagī
jis  jabīñ  ko  be-niyāz-e-āstāñ  samjhā  thā  maiñ
qāfile  kā  qāfila  hī  raah  meñ  gum  kar  diyā
tujh  ko  to  zālim  dalīl-e-rah-ravāñ  samjhā  thā  maiñ
mere  dil  meñ  aa  ke  baiThe  aur  yahīñ  ke  ho  ga.e
aap  ko  to  yūsuf-e-be-kārvāñ  samjhā  thā  maiñ
ik  daroġh-e-maslahat-āmez  thā  terā  sulūk
ye  haqīqat  thī  magar  ye  bhī  kahāñ  samjhā  thā  maiñ
zindagī  in.ām-e-qudrat  hī  sahī  lekin  ise
kyā  ġhalat  samjhā  agar  yār-e-garāñ  samjhā  thā  maiñ
pher  thā  qismat  kā  vo  chakkar  thā  mere  paañv  kā
jis  ko  'sho.ala'  gardish-e-haft-āsmāñ  samjhā  thā  maiñ