subū  uThā  mire  saaqī  ki  raat  jaatī  hai
nazar  milā  mire  saaqī  ki  raat  jaatī  hai
ki  tū  manā.e  mujhe  is  liye  maiñ  rūThā  huuñ
mujhe  manā  mire  saaqī  ki  raat  jaatī  hai
hai  merī  jaan  mirī  jaañ  tire  tabassum  meñ
tū  muskurā  mire  saaqī  ki  raat  jaatī  hai
shab-e-visāl  kī  ḳhushbū  fazā  kī  rañgīnī
kahīñ  se  lā  mire  saaqī  ki  raat  jaatī  hai
kisī  bahār  kā  naġhma  koī  suhānī  ġhazal
tū  gungunā  mire  saaqī  ki  raat  jaatī  hai
phir  ik  fareb  meñ  ye  shab  guzar  na  jaa.e  kahīñ
qasam  na  khā  mire  saaqī  ki  raat  jaatī  hai
qarīb  ho  ke  bhī  'āzim'  ke  tū  qarīb  nahīñ
palaT  ke  aa  mire  saaqī  ki  raat  jaatī  hai