nazar  se  jis  kī  ab  mastūr  huuñ  maiñ
usī  kī  yaad  se  ma.amūr  huuñ  maiñ
chaTānoñ  kī  tarah  madd-e-muqābil
magar  andar  se  chaknā-chūr  huuñ  maiñ
shab-e-zulmat  nahīñ  havvā  kī  beTī
ujālā  huuñ  sahar  kā  nuur  huuñ  maiñ
mohabbat  kā  taqāza  hai  muravvat
samajhnā  ye  nahīñ  majbūr  huuñ  maiñ
vafā  kā  pyaar  kā  paikar  huuñ  lekin
jo  ho  sayyād  to  zambūr  huuñ  maiñ
havā  le  kar  uḌī  hai  zard  patte
chaman  meñ  nargis-e-ranjūr  huuñ  maiñ
nishāñ  us  kī  jabīñ  kā  kah  rahā  hai
tajallī  se  jalā  huuñ  tuur  huuñ  maiñ
'anā'  TuuTī  faqat  rusvā.iyoñ  se
ḳhushāmad  se  to  kosoñ  duur  huuñ  maiñ