agarche  maslahat-āmez  hī  hai
kaḌe  lahje  se  behtar  ḳhāmushī  hai
nazar  kī  pyaas  to  nazroñ  se  pūchho
haiñ  zer-e-āb  phir  bhī  tishnagī  hai
vahī  chhūte  haiñ  aksar  āsmāñ  ko
jabīñ  jin  kī  zamīnoñ  par  jhukī  hai
varaq  āhistagī  se  kholiyegā
bahut  ḳhasta  kitāb-e-zindagī  hai
marāsim  pahle  bhī  achchhe  nahīñ  the
magar  ab  to  diloñ  meñ  be-dilī  hai
mirī  bechārgī  par  hañs  rahā  hai
ye  merā  dost  hai  yā  ajnabī  hai
tirī  sargoshiyoñ  kā  ye  asar  hai
anā  maiñ  rach  ga.ī  ik  naġhmagī  hai