bhiiḌ  meñ  gūñgoñ  kī  pahchān  banāne  ke  liye
hausla  chāhiye  āvāz  uThāne  ke  liye
diin  insāñ  kī  bhalā.ī  ke  liye  aayā  thā
rah  gayā  ab  ye  faqat  khāne-kamāne  ke  liye
pyaar  ko  bhūlnā  āsān  nahīñ  hai  sāhab
muddateñ  lagtī  haiñ  ik  shaḳhs  bhulāne  ke  liye
roz-do-roz  kā  qissa  na  samajhiye  is  ko
ishq  to  hotā  hai  ik  umr  rulāne  ke  liye
maut  ke  baad  mirī  'rāz'  paḌhe  jā.eñge
mere  ash.ār  mirī  yaad  dilāne  ke  liye