Jagdeesh Parkash

ek purani sharab jaisa ishq

Jagdeesh Parkash

Lahore, Punjab, Pakistan

1935
ik purānī sharāb jaisā ishq
mujh se ḳhāna-ḳharāb jaisā ishq
'mīr' kī ek ġhazal sā dil-afroz
ik muqaddas kitāb jaisā ishq
hai gunah bhī yahī ibādat bhī
āqibat ke hisāb jaisā ishq
kabhī sahrā kabhī samundar hai
kabhī gañgā ke aab jaisā ishq
sau duāoñ kā mustaqil ehsās
bandagī ke savāb jaisā ishq
āb-e-zam-zam hai is ko pī liije
hai muqaddas sharāb jaisā ishq
muḳhtasar bahr kī hai merī ġhazal
is ġhazal ke javāb jaisā ishq
kisī ma.ashūq ke badan kī mahak
ek taaza gulāb jaisā ishq
Top Urdushayar.com