Jagdeesh Parkash

baat ki baat rahe baat ka mafhum rahe

Jagdeesh Parkash

Lahore, Punjab, Pakistan

1935
baat kī baat rahe baat kā mafhūm rahe
aur taḳhayyul mirā taaza rahe ma.asūm rahe
har na.ī soch ko mazmūn banā lūñgā magar
merā kirdār mirī zaat se mausūm rahe
merī pahchān ke sab log judā hote ga.e
jo bache merī tarah bebas-o-mazlūm rahe
aaj tak bante rahe haiñ jo hamāre zāmin
un se ham haath milāne se bhī mahrūm rahe
ab to bas ḳhud hī sunā karte haiñ apnī āvāz
aap ke qadmoñ kī aahaT se bhī mahrūm rahe
Top Urdushayar.com