umr  guzrī  hai  to  phir  hosh  ko  rab  yaad  aayā
mar  gayā  shauq  to  phir  is  kā  sabab  yaad  aayā
din  kā  āġhāz  huā  aañkh  meñ  aañsū  aa.e
avval-e-shab  kā  ziyāñ  āḳhir-e-shab  yaad  aayā
mujh  ko  to  yaad  nā  thā  us  se  judā  ho  jaanā
vo  to  batlāyā  mujhe  us  ne  to  tab  yaad  aayā
ab  ke  shahroñ  meñ  bhī  jañgal  kī  havā  aisī  chalī
maa.eñ  bistar  meñ  chhupīñ  bheḌiyā  jab  yaad  aayā
merī  tarah  se  vo  yak-rañgī  se  tañg  aayā  to
din  ko  phir  raat  meñ  Dhal  jaane  kā  Dhab  yaad  aayā