dekh  tū  kis  qadar  bhalā  dukh  hai
shaam  hote  hī  aa  gayā  dukh  hai
dil  kī  dīvār  par  Tañgī  āñkheñ
dil  kī  dahlīz  par  jamā  dukh  hai
thak  ke  baiThī  huuñ  ek  kone  meñ
aur  kamre  meñ  ghūmtā  dukh  hai
mujh  se  pūchho  nā  ḳhairiyat  kā  sabab
mere  har  dard  kī  davā  dukh  hai
zindagī  to  haqīqī  ma.anoñ  meñ
ḳhaak  se  ḳhaak  par  likhā  dukh  hai
yā  mire  dushmanoñ  kā  dukh  hai  mujhe
yā  mirī  āstīn  kā  dukh  hai
haath  kānoñ  pe  rakh  liye  maiñ  ne
kis  qadar  chup  meñ  chīḳhtā  dukh  hai
mere  hañsne  pe  phir  'muqaddas'  jī
aa  ki  mujh  par  baras  paḌā  dukh  hai