tum  jo  shāmil  hue  ḳhayāloñ  meñ
raushnī  aa  ga.ī  havāloñ  meñ
ab  to  ai  chāñd  baam  par  aa  jā
chāñdnī  aa  ga.ī  hai  bāloñ  meñ
us  ne  nazreñ  hī  pher  lī  mujh  se
kuchh  nahīñ  rah  gayā  savāloñ  meñ
ek  lamhe  kī  to  zarūrat  thī
aur  vo  lamha  na  aayā  sāloñ  meñ
terī  āñkhoñ  pe  baat  hone  lagī
jañg  sī  chhiḌ  ga.ī  ġhazāloñ  meñ
qatl  insāniyat  kā  karte  haiñ
bheḌiye  aadmī  kī  khāloñ  meñ
ye  'muqaddas'  haqīqī  duniyā  hai
aap  rahtī  haiñ  kin  ḳhayāloñ  meñ