ḳhuun  se  gūñdhā  miTTī  ko  aur  aadam  ko  ta.amīr  kiyā
uupar  vaale  ne  bhī  apne  ḳhvāboñ  ko  ta.abīr  kiyā
tanhā.ī  ke  saaz  pe  chheḌe  saare  dard  sadāoñ  ke
vahshat  ke  āñchal  se  lipTe  aur  use  zanjīr  kiyā
jis  lahje  ko  bhī  jhuThlāyā  haath  meñ  us  ke  ḳhaak  lagī
jis  abrū  tak  haath  baḌhāyā  ham  ne  us  ko  tiir  kiyā
upar  jaane  vaale  raste  pastī  ke  mohtāj  kiye
ham  jis  ke  qadmoñ  meñ  baiThe  us  ko  hī  jāgīr  kiyā
merā  chehra  dekhne  vaalo  paḌhnā  bhī  to  sīkho  nā
kitne  mushkil  mausam  kaaTe  aur  un  ko  tafsīr  kiyā
apnā  ronā  rone  vaale  tū  kis  khet  kī  muulī  hai
ishq  ne  tujh  se  pahle  jaane  kitnoñ  ko  rāhgīr  kiyā