Hasan Abbasi

kabhi jo aankhon ke aa gaya aaftab aage

Hasan Abbasi

1971

kabhī jo āñkhoñ ke aa gayā āftāb aage

tire tasavvur meñ ham ne kar kitāb aage

vo ba.ad-e-muddat milā to rone aarzū meñ

nikal ke āñkhoñ se gir paḌe chand ḳhvāb aage

dil-o-nazar meñ apne ḳheme lagā liye haiñ

hameñ ḳhabar hai ki rāsta hai ḳharāb aage

nazar ke hairat-kade meñ kab khaḌā huā huuñ

ik aa.ine meñ khilā huā hai gulāb aage

guzarne vaalā thā rah-guzār-e-hayāt se maiñ

vo ek lamha ki aa ga.e phir janāb aage

'hasan' jo maazī saf.ha ulTā to aa ga.e haiñ

khajūr ke peḌ Tiile aur māhtāb aage

Top Urdushayar.com