ḳhvāb  apne  mirī  āñkhoñ  ke  havāle  kar  ke
tū  kahāñ  hai  mujhe  nīndoñ  ke  havāle  kar  ke
merā  āñgan  to  ba-juz  tere  mahaktā  hī  nahīñ!
bārhā  dekhā  hai  phūloñ  ke  havāle  kar  ke
ek  gumnām  jazīre  meñ  utar  jā.ūñgā
apnī  kashtī  kabhī  lahroñ  ke  havāle  kar  ke
kaisā  sūraj  thā  ki  phir  lauT  ke  aayā  hī  nahīñ
chāñd  taare  mirī  rātoñ  ke  havāle  kar  ke
mujh  ko  ma.alūm  thā  ik  roz  chalā  jā.egā!
vo  mirī  umr  ko  yādoñ  ke  havāle  kar  ke
ghar  kī  vīrānī  badal  Daalī  hai  raunaq  meñ  'hasan'
sahn  kā  peḌ  parindoñ  ke  havāle  kar  ke