tū  nahīñ  to  terā  dard-e-jāñ-fazā  mil  jā.egā
zinda  rahne  kā  koī  to  aasrā  mil  jā.egā
ai  mirī  chashm-e-pashemāñ  apne  aañsū  rok  le
raat  kī  tanhā.ī  meñ  rone  se  kyā  mil  jā.egā
zindagī  ke  kārvāñ  par  kuchh  asar  paḌtā  nahīñ
ik  musāfir  kho  gayā  to  dūsrā  mil  jā.egā
saarī  bastī  meñ  faqat  merā  hī  ghar  hai  be-charāġh
tīrgī  se  aap  ko  merā  patā  mil  jā.egā
sochte  rahne  se  to  manzil  kabhī  miltī  nahīñ
chalte  jaao  rāste  se  rāsta  mil  jā.egā
koī  to  merā  bhī  hogā  muntazir  'bāqī'  yahāñ
ik  na  ik  to  dil  kā  darvāza  khulā  mil  jā.egā