udaas  baam  hai  dar  kāTne  ko  aatā  hai
tire  baġhair  ye  ghar  kāTne  ko  aatā  hai
ḳhayāl-e-mausam-e-gul  bhī  nahīñ  sitamgar  ko
bahār  meñ  bhī  shajar  kāTne  ko  aatā  hai
faqīh-e-shahr  se  insāf  kaun  māñgegā
faqīh-e-shahr  to  sar  kāTne  ko  aatā  hai
isī  liye  to  kisānoñ  ne  khet  chhoḌ  diye
ki  koī  aur  samar  kāTne  ko  aatā  hai
tire  ḳhayāl  kā  aahū  kahīñ  bhī  din  meñ  rahe
magar  vo  raat  idhar  kāTne  ko  aatā  hai
kahā  to  thā  ki  hameñ  is  qadar  bhī  Dhiil  na  de
ab  uḌ  rahe  haiñ  to  par  kāTne  ko  aatā  hai
ye  kaam  karte  the  pahle  sagān-e-āvāra
bashar  ko  aaj  bashar  kāTne  kā  aatā  hai
ye  us  kī  raah  nahīñ  hai  magar  yūñhī  'bāqī'
vo  mere  saath  safar  kāTne  ko  aatā  hai