mujh  se  bichhaḌ  ke  vo  bhī  pareshān  thā  bahut
jis  kī  nazar  meñ  kaam  ye  āsān  thā  bahut
sochā  to  be-ḳhulūs  thiiñ  sab  us  kī  qurbateñ
jis  ke  baġhair  ghar  mirā  vīrān  thā  bahut
be-ḳhvāb  surḳh  āñkhoñ  ne  sab  kuchh  batā  diyā
kal  raat  dil  meñ  dard  kā  tūfān  thā  bahut
ye  kyā  kiyā  ki  pyaar  kā  iz.hār  kar  diyā
maiñ  apnī  is  shikast  pe  hairān  thā  bahut
vahshat  meñ  kyuuñ  kisī  ke  garebāñ  ko  dekhtā
mere  liye  to  apnā  garebān  thā  bahut
ab  to  koī  tamannā  hī  'bāqī'  nahīñ  rahī
ye  shahr-e-ārzū  kabhī  gunjān  thā  bahut