roz-e-vahshat  hai  mire  shahr  meñ  vīrānī  kī
ab  koī  baat  nahīñ  baat  pareshānī  kī
mere  dariyā  kabhī  dariyā  bhī  huā  karte  the
ab  bhī  āvāz  sī  aatī  hai  mujhe  paanī  kī
ā.ina-ḳhāne  ke  bāhar  vo  mujhe  pūchhte  haiñ
ā.ina-ḳhāne  meñ  kyā  baat  thī  hairānī  kī
ab  ġhazālāñ  se  kaho  chhup  ke  kahīñ  baiTh  raheñ
aamad  aamad  hai  kisī  ġhūl-e-bayābānī  kī
ham  khule  ghar  ke  makīnoñ  kī  yahī  aadat  hai
ham  na  darbān  hue  aur  na  darbānī  kī
yaad  kar  lenā  bahattar  kī  kahānī  'bāqī'
jañg  chhiḌ  jaa.e  kisī  vaqt  agar  paanī  kī