dasht-o-dariyā  ke  ye  us  paar  kahāñ  tak  jaatī
ghar  kī  dīvār  thī  dīvār  kahāñ  tak  jaatī
miT  ga.ī  hasrat-e-dīdār  bhī  rafta  rafta
hijr  meñ  hasrat-e-dīdār  kahāñ  tak  jaatī
thak  ga.e  hoñT  tirā  naam  bhī  lete  lete
ek  hī  lafz  kī  takrār  kahāñ  tak  jaatī
laaj  rakhnā  thī  masīhā.ī  kī  ham  ko  varna
dekhte  lazzat-e-āzār  kahāñ  tak  jaatī
rāhbar  us  ko  sarāboñ  meñ  liye  phirte  the
ḳhilqat-e-shahr  thī  bīmār  kahāñ  tak  jaatī
har  taraf  husn  ke  bāzār  lage  the  'bāqī'
har  taraf  chashm-e-ḳharīdār  kahāñ  tak  jaatī